Kya kabhi apne apne Smartphone pe Invalid imei ka error aya hai? kya kabhi apke wifi main NVROM error aya hai ? jab bhi kisi smartphone ko flash karne ke doran full format kar diya jaye to ye errors dekhne ko milte hain
How to know if IMEI and nvrom is corrupted?
Ab Problem ye hai agar ap ki IMEI aur Nvrom corrupt hai tu es ke bare mai kese jana jaye?
IMEI CHECK:
Jab imei corrupt ho tu Ap ke smartphone mai network nahi aye ga yani No signal likha aye ga.
Imei ko check karne ke liye apne mobile mai *#06# type karen, agar *#06# type karne par invalid IMEI lekha ajaye tu ye bat tu sabit hai ke ap ke smart phone ki IMEI corrupt hai.
NVROM Check:
Agar ap samjhte hai keh ap Norvm corrupt hain tu es ke liye niche diye gaye methode ko follow karen.
- Apne smart phone ki settings main jaye aur wifi open karen.
- Wifi kohlne par agar ap ko koi open network nvrom error ke naam se nazar aye tu bat sabet hai keh ap ke smart phone ka mac adress corrupt hai.
Invalid IMEI aur Nvrom ko kayse theek karen?
Es kisam ke errors ko theek karne ke bahut tariqe hai magar aj mai jo tariqa ap se share karne ja raha hon wo bahut hi asaan hai aur es tariqe ko baghair copmuter ke anjam de sakte hain.
Tu pher dher kis bat ki ao shooro karte hain,
Zarooriyat:
- Process shooro karne se pehly ap ka smartphone rooted hona chahiye.
- Es mai Super user ya kingroot software install hona chahiye.
- Ap ke smart phone ki beterry kam az kam 50 se 60% honi chahiye.
Things required for the process:
- Rooted mtk device.
- Chamelemac apk Download Chamelemac
- Chamelephon Apk Download Chamelephon
Uper diye gaye apk files kodownload kare aur apne smart phone mai install karen.wo tamam aplications close karen jo ap ke smart phone mai open hain.
Procedure / Tariqakar :
Sab se pehle apne smart phone ka imei number lekhen.IMEI number ke liye apne mobile ka back cover open karen aur beterry remove karne ke bad imei number lekha hoga wo lekh len.
Aur agar ap ke smart phone ki beterry non removable hai tu pher ap ko imei number apne smart phone ke box ke uper lekha mele ga.Agar pher bhi kisi waja se ap ko imei number nhi milta ru es ke liye "Alternative Procedure" nichay diya howa hai.
Procedure:
- Apne smart phone main chamelephone aplication ko open karen,open karne ke bad ye ap se root karne ke liye poche ga.
- Jab ye aplication ap se root ke liye pooche ga tu ap start root button press kar len.
- Ab ap ko 2 input boxes nazar ayen ge jahan ap apne smart phone ki imei number lekh sakte hain.
- Imei number lekhne ke bad chand Imei par click karen.
Es ke bad apne smart phone ko restart karen aur ap ki imei thik hogai hogi.
Alternative Procedure:
Agar ap ko apne smart phone ki imei number na mele tu pareshan na hon nichay diye gaye tariqe ko follow karen.
- Apne smart phone main chamelephon ko open karen open karne ke bad generate random IMEI par click karen.
- Ab applay button par click karen aur apna smart phone restart karen.
Ab ap ke smart phone ki imei chang hojaye gi.
Changing MAC address or repairing NvRom error:
Tariqakar:
Nvrom error ko theek karne ke liye apne smart phone mai chamelemac apk install karen.
- Apne smart phone mai chamelemac app open karen aur root button par click karen.
- Ab generate random mac address par click karen aur apply karen.
- Ab apne smart phone ko restart karen.
Ye len ap ka nvrom error problen solved hogaya.
Ap hamare sath contact bhi kar sakte hai contact karne ke liye nichy diye gaye contact form ko fill karen aur apna problem bataye aur ap hame comment bhi kar sakte hain.
mazeed tips aur tutorials ke liye Hamare news latter ko subscribe karen.
COMMENTS