Kia kabhi ap ka samna aise virus se howa hai jo ap ke pc or Flash Drive / Memory card mai baghair kisi matlab shortcuts banata hai ya ap ka data ghaib kar deta hai ?
Read This Post in English: How to Unhide files and folders hidden by Virus.
No Data But Flash memory Is full?
Ap ka Flash Drive full hai lekin kholne par es mai koi data show nhi hota?
Ap ki hazaar koshishon ke bawajood bhi ap apna Data hasil nahi kar pa rahe Or Ap apne Flash Drive/ pc Drive ko format karne ka soch rahy hain lekin es mai bhut hi zaroori Data hai.
No Need To Worry:
To pareshan hone ki zaroorat nahi hain, ak bohot hi aasaan treeqa jo mai aj ap ko batane ja raha hoon jo ap ki pareshani ko hal kar dega.
Mai ne in files ko unhide karne ke liye bhut se Online Blogs posts aur tatorials dekhe leken en mai zayada tar peechida aur mushkil tareeqe estemal how hain jo har kisi ko samaj mai nahi aati kuynke wo command par amaada hotey hai.
Buhat si Mehnat or search ke bad mujhe ak aisa software mela jo ap ki pareshani ko mintu mai hal kar de, aur ap ko koch karne ki zaroorat bhi nahi hogi ,Software install karen aur pher us drive ka naam dalen jes ka data ap unhide karna chahty hai.
To Pher intezar kis baat ka chalty hain tatorial ki taraf.

Read also: Install Windows 7 photo editor using Windows Live Essential
To Pher intezar kis baat ka chalty hain tatorial ki taraf.
Zaroorat Ki Cheezain:
- A windows pc
- Vunhide Software
- Thora bhot Dimagh jo ke takreeban sab ke pas hota hai
Instructions:
- Sub se pehly opar link se sofware download kar ke install kr den.
- Software ko install karne ke bad administrator ke zarye open karen.
- Apna Flash Drive / Memory card Pc ke sath connect kar den jes ka Data ap unhide karna chahtay hain.
- Connect karne ke bad apne Flash drive / Memory card ke drive ke naam ko check karen. Example: Ap ke Drive ka naam "H" hai.
- Apne Drive ka naam sofware mai dalen aur pher ok kar den.
kuch dher itezaar ke baad jab process complete hojaye ap dekhen ge ke ap ke Flash Drive / Mmory card mai jo Data hide tha wo unhide ho gaya hoga.
umeed karta hoon ap ka masla es post ke zarye hal hojaye ga.
Agar ap ko hamari post achi lagi ho to apne Doston se zaroor share kijeye ga hamari website par aane buhat shukriya.
Agar koi problem ho to kindly neeche comment section main share karen hum se.
Good Bye and stay connected to Humptechtips.com
COMMENTS